sham bojhal si ghane ped se aangan mein utar aai hai dafn hone ko hai be-nam sa din jis se riste hain lahu rang shafaq ke dhabbe phailte jate hain gahre baadal jaise ehsas-e-gunah zard murjhai akeli qindil nauha undelti sozish ki safir jism diwar pe sayon mein bata tuti ummid ki giryan taswir aur ab raat ne karwat badli gahre sannate ki khamosh karah jaise phir zakhm ke tanke jage lamha lamha ke tapakne ki sada aati hai