barson baith ke sochen phir bhi hath ke aage pada niwala aap halq ke par na jae ye adna nakhun tak shayad badhte badhte jal bichhaen gyan nagar behad dilkash hai lekin us ke raste mein jo khar pade hain kaun hatae sadiyon ki sochon ka muraqqa tute hue us but ko dekho hare-bhare khud-raw sabze ne gher rakha hai farq kushada se chidiyon ki yaad-dahani chah-e-zaqan pe kai jami hai ho sakta hai shayad us ko gyan mila ho ho sakta hai