tanha baitha hun kamre mein mazi ki taswir liye ab to anjaane qadmon ki aahat se ji darta hai meri chahat un ke wade dafn hue tahriron mein jhute hain sare afsane kaun kisi par marta hai sine ki har ek jalan se samjhauta kar ke main ne in sari biti baaton ko tariki mein chhod diya shisha kah lo patthar kah lo kabhi bhi kah lun is dil ko main ne is afsurda shai ko tanhai se jod diya ab nazuk nazuk zehnon par fauladi hamla hoga shishon ke paikar pighlenge pathrili tanhai mein khwabon ka sansar sunahra tah-khanon mein bhatkega aql bichaari ja dubkegi soch ki gahri khai main