qarib-e-subh sada-e-shikast-e-jaan ubhri labon ka zahr achanak pighal gaya aakhir sukut-e-jism lahu pite pite chaunk utha ye kaun shab ki tamazat se jal gaya aakhir karahta sa utha koi tutta paikar siyahiyon mein sulagta hua dhuan jaise jhatak ke daur hui bistaraon se uktahat lipat gaya ho koi sanp na-gahan jaise azab-e-ruh makanon ka dard chatega badhenge shahr-e-tamanna ki samt sab sae kasha-kashon ke samundar mein dubkiyan lete har ek zat ki maujudiyat se uktae gharon mein qaid dar-o-baam ki har ek uljhan gali gali ke labon se lipat rahi hogi tabiaton ko sambhaale hue dhuen ki lakir waraq kitab-e-nafas ke ulat rahi hogi rahega yun hi saron par itab ka suraj isi tarah se basar hote jaenge din-raat kaleja munh mein rakhe aur sine par patthar guzar denge guzarte hue sabhi sadmat