apni azli aarzu ke mutabiq main bilkul aazad ho chuki hun har khwahish se lalach se khauf se gham se nafrat se main chahun to rocking chair par subh se sham kar sakti hun ya raat bhar safed kapde par rang-birange phul kadh sakti hun ya jangal mein itni dur ja sakti hun ki wapas na aa sakun ya daere mein ghumte hue apne aap ko thaka kar gira sakti hun kabhi na uthne ke liye aur aise mein unhon ne use bhej diya hai jaan bujh kar meri tanhai mein khalal dalne ke liye taki mil jae mujhe phir koi nafrat karne ke liye chhoti si to hai wo magar nahin dalne deti mujhe apni tanhai mein khalal mukammal taur par aazad meri nafrat se bhi meri asli waris magar mujh se kahin ziyaada kaamyab tanhai ke fan mein