jis kisi ne in dinon koi dawa ijad ki bas ye samjho us ne ek basti nai aabaad ki phod kar sar jail mein be-chaara majnun mar gaya aur sadaen har taraf hain yar zindabaad ki kya bataun ai tabibo ishq ki tum ko tapish bas samajh lo jaise garmi tir aur khurdad ki lijiye aae hain majnun mujh ko dene dars-e-ishq aap ki surat to dekho hat tere ustad ki qarz to be-shak liya par hum ne kis kis se liya yaad kuchh aata nahin ye kaifiyat hai yaad ki qais aakhir mar gaya soz-e-darun-e-ishq se kha gai afsos us paude ko garmi khad ki dekhna aakhir sar-e-bazar ruswa kar diya roz waiz tum dua manga karo aulad ki madar-e-giti ne 'ismat' kuchh meri parwa na ki sas karti hai khushamad kahte hain damad ki