zaruraton bimar faza se kah do abhi khushbu ko gulab rangon ko khwab ragon mein jame sayyal ko lahu likhna hai be-kaif-o-sakit manzar ko khush khisal likhna hai in chidiyon ko lautne do faza ke habs mein jo mahsur hain zaruraton ko surkh gulal likhna hai is kurlati khamoshi se bahte sur nikalne do tanhai ko jashn-e-tarab dost ko yaad likhna hai ek lamha intizar mujhe mohabbaton ki taza nazm likhni hai abhi to bahaar qarantina mein hai