phir raat ki tarik adaen hain musallat phir subh ke hathon se hina chhut rahi hai jo haar tere waste gundha tha kisi ne us haar ki ek ek ladi tut rahi hai jo saz kabhi waqif-e-asrar-e-junun tha us saz ki rag rag se lahu phut raha hai kya hosh tujhe saqi-e-mai-khana-e-duniya wo kaun sa saghar hai jo ab tut raha hai taqdir ko rote hain siyah-bakht sitare aafaq pe zulmat ne phenki hain kamanden khulta hi nahin ab dar-e-jaanan ye suna hai diwane kahan jaen kahan raat guzaren khunrez haqaeq ki ghani chhanw mein ab tak doshiza-e-afkar ki zulfen hain pareshan ab tak hain wahi maqtal-o-zanjir-o-salasil ab tak kaf-e-qatil mein wahi maut ke saman ab tak na bujhe dast-e-taghayyur ki ada se taswir-e-gulistan ko jhulaste hue shoale ab tak na hate apne siyahkar sitam se tafriq ke farzand hawasnak lutere is aalam-e-zulmat ki pur-haul faza mein hum apni mohabbat ka lahu bech rahe hain hum jin ko banate rahe gulshan ka nigahban ab tak wo rag-e-gul se lahu khinch rahe hain phir aalam-e-zulmat mein roti hai zulekha kya jaaniye kis bhes mein khurshid-e-sahar hai phir apne muqaddar pe wahi raat ke pahre phir jaanib-e-maqtal wahi qatil ki nazar hai phir hum se taqaza hai teri shokh-nazar ka tariki-e-haalat ki buniyaad hila den jin se na kabhi subh ki kirnon ka guzar ho un tir-o-tarik gharondon ko gira den