jabin-e-zist pe marqum hai meri aawaz ki tu ne zinda kiye husn-o-ishq ke eajaz badal badal ke teri dhadkanon ko nam mila kabhi nawa-e-haqiqat nawa-e-majaz teri sada-e-mohabbat ne fash kar dala wo raaz-e-hashr jo rakhta hai ek mahshar-e-raaz nishan-e-rah kahin zindagi ke naqsh-e-qadam kahin hayat ke raunde hue nasheb-o-faraaz kabhi to ashk mein khun-e-jigar ka rang-e-hayat kabhi to aah mein dil ki dabi hui aawaz nazar nazar mein bahaar-e-nigah naghma-e-ba-dosh nafas nafas mein ek ehsa-e-dard naghma-taraaz bahakti sham mein taron ka raqs rindana rupahli subh ka kaliyon se wo jamil andaz wo phul phul pe shabnam ki zindagi manzum wo jharne jharne mein khoe hue se naghma-o-saz bahakti sham mein taron ka raqs-e-rindana rupahli-subh ka kaliyon se wo jamil andaz wo phul phul pe shabnam ki zindagi manzum wo jharne jharne mein khoe hue se naghma-o-saz wo roz-e-abr mein kaif-o-nashat ki barish hasin chandni raaton ka wo latif gudaz teri nigah ne aisi nazakaten pain ki husn khud hi pukara ki main hun ishq ka raaz abhi fazaon mein raqsan hai ban ke naghma-e-shauq khayal ki wo bulandi-e-nazar ki wo parwaz mata-e-soz hai khurshid-o-mah mein ab tak jo tu ne chheda tha fikr-o-nishat ka ek saz teri latif sadaon ki gunj hai ab tak abhi hain zohra-o-nahid gosh-bar-awaz