sar chadh ke bolta hai urdu zaban ka jadu hindostan ki mitti ke aasman ka jadu hindostan ka jadu sare jahan ka jadu sar chadh ke bolta hai urdu zaban ka jadu jap-jap jogiyon ka nara qalandaron ka tahzib mahfilon ki aur shor mai-kadon ka kuche mein dilbaron ke hangama aashiqon ka mashuq ki nigah ke tir-o-kaman ka jadu dariya hain 'mir'-o-'ghaalib' har lab pe jo rawan hain 'faiz' o 'firaq' aur 'dagh' har dil pe hukmaran hain aur 'kirshn-chandr' 'manto' zinda kahaniyan hain lafzon ke aaine mein husn-e-bayan ka jadu duniya dil-e-ghazal mein mai-khana ishq ka hai har ruh wajd mein hai har jism mein nasha hai mashuq bandagi hai mashuq hi khuda hai mandir ki ghantiyon mein bole azan ka jadu tute hue dilon ko jode rafugari se jode tamam girhen jazbon ki sadgi se rah jaen dost ban kar aaen jo ajnabi se daem mohabbaton ke aab-e-rawan ka jadu hindostan ka jadu sare jahan ka jadu hindostan ka jadu urdu zaban ka jadu hindostan ka jadu sare jahan ka jadu sar chadh ke bolta hai