mulki hain hum watan hai mulk-e-dakan hamara ye hai zamin hamari ye hai watan hamara tabrez ko bhi chhoda iran ko bhi chhoda mulk-e-dakan bana hai ab to watan hamara hum dedh sau baras se aakar base hain is ja ye hai zamin hamari charkh-e-kuhan hamara rakhte hain jis ki ulfat gate hain jis ka naghma aaqa-e-banda-parwar shah-e-dakan hamara sun kar 'haya' ka naghma mahzuz honge samea deta hai kya halawat shirin sukhan hamara