mere baad

koi bhi aaega turbat pe bhala mere baad
khak aa aa ke udaegi saba mere baad

jite ji qadr kisi ne bhi na jaani afsos
yaad mein roega phir kaun bhala mere baad

sab ye munh dekhe ki baaten hain kahan ki ulfat
yaad karne ke nahin ahl-e-jafa mere baad

qaum ne qadr na ki rah gai hasrat dil mein
meri turbat se ye aaegi sada mere baad

fatiha padhne ko aaya to bahut ro ro kar
bakhsh de us ko khuda us ne kaha mere baad

zindagi mein to sila main ne na paya hargiz
kaam sab mere hon maqbul-e-khuda mere baad

ye wasiyyat hai ki jis ko hai mohabbat mujh se
phul turbat pe chadha jae zara mere baad

puchhti tum se haya hai ye bata do mujh ko
ab nahin aate ho phir aaoge kya mere baad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close