chamko chamko taro chamko chamko chamko pyaro chamko dur yahan se tum ho chamakte jaane kahan se tum ho chamakte kundan ke manind damakte duniya ko hairat se takte jab ki andhera ghup chhata hai raushan suraj chhup jata hai ek nazar se sab ko takna sari sari raat chamakna tum ne kyon ye aadat kar li kyon ye khidmat apne sar li rah jo un ko tum na dikhate kaise musafir rasta pate qadam qadam pe atakte rahte sari raat bhatakte rahte tum ne in ko rah batai karte ho tum sab se bhalai sare jahan ko raushan kar do sari duniya nur se bhar do mujh se kar lo do do baaten kat jaen ye andheri raaten dekho dekho nind na aae jab tak suraj munh na dikhae chatti chatti jot tumhaari halki halki pyari pyari tariki mein rah batae bhatke huon ko ghar pahunchae aae samajh ya ki na aae lekin nur ye chamke jae