pa-barhana-o-sarasima sa ek jamm-e-ghafir apne hathon mein liye mashal-e-be-shoala-o-dud muztarib ho ke gharondon se nikal aaya hai jaise ab tod hi dalega ye barson ka jumud un papoton mein ye pathrai hui si aankhen jin mein farda ka koi khwab ujagar hi nahin kaise dhundengi dar-zist kahan dhundengi un ko wo tishnagi-e-shauq mayassar hi nahin jaise sadiyon ke chatanon pe tarashe hue but ek diwane musawwir ki tabiat ka ubaal nachte nachte ghaaron se nikal aae hon aur wapas inhin ghaaron mein ho jaane ka khayal zindagi apne darichon mein hai mushtaq abhi aur ye raqs-e-tilismana ke rangin sae us ki nazron ko diye jate hain paiham dhoke jaise bas aankh jhapakne mein wo ud kar aae shahpar-e-maut kisi ghul-e-bayaban ki tarah qahqahe bharta hai khamosh fazaon mein sada kanpte kanpte ek bar simat jati hai ek tarik sa parda yunhi aawezan raha koi darwaze pe dastak hai na qadmon ka nishan chand pur-haul se asrar tah-e-saya-e-dar khud hi sargoshiyan karte hain koi jaise kahe phir palat aae ye kam-bakht wahi sham-o-sahar nachta rahta hai darwaze ke bahar ye hujum apne hathon mein liye mashal-e-be-shoala-o-dud zindagi apne darichon mein hai mushtaq abhi kya khabar tod hi de badh ke koi qufl-e-jumud