tare

zara nanhe tare mere pas aa ja
tu apni chamak aa ke mujh ko dikha ja

idhar aa tujhe hath mein le ke dekhun
ye kya baat hai tu chamakta jo hai yun

tu nanha sa jugnu hai allah miyan ka
tujhe apni topi mein rakh lun idhar aa

meri topi mein aa ke jham jham chamakna
mere sar pe tu raat ko aa ke hansna

chamakte ho hanste ho tum itne unche
mera hath pahunche wahan kis tarah se

zamin par hun main aur tum aasman par
batao to phir main tumhein paun kyon kar

chala aa chala aa mere pyare tare
charaghon se achchhe khilaunon se pyare

tare ka jawab
bulao na mujh ko tum ai bhole bachche

main kyun kar chala aaun apni jagah se
khuda ne mujhe aasman mein jada hai

yahin us ne rahne ko mujh se kaha hai
bahut dur ho mujh se ai pyare bachche

pahunch sakte ho tum mere pas kaise
khuda ne chamak mujh mein jis tarah di hai

kitabon mein wo pyare likkhi hui hai
bade ho ke jab tum padhoge kitaben

samajh mein phir aa jaengi sari baaten
sitara hun jugnu nahin hun main pyare

jo jugnu hain wo bagh mein hain tumhaare
main go tum ko chhota nazar aa raha hun

magar sari duniya se bhi kuchh bada hun
main chhoti si topi mein kis tarah aaun

chamak kis tarah tum ko apni dikhaun
mujhe dur se dekh ke ho lo khush tum

lo aaenge kal sham jate hain ab hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close