targhib aur uske baad

targhib:
phir main kaam mein lag jaunga aa fursat hai pyar karen

nagin si bal khati uth aur meri god mein aan machal
bhed-bhaw ki basti mein koi bhed-bhaw ka nam na le

hasti par yun chha ja badh kar sharminda ho jae ajal
chhod ye laj ka ghungat kab tak rahega in aankhon ke sath

chadhti raat hai dhalta suraj khadi khadi mat panw mal
phir ye jadu so jaega samay jo bita gahri nind

jo kuchh hai anmol hai ab tak ek ek lamha ek ek pal
bin chhui mitti ki khushbu us ka sundha sundha-pan

sab kuchh chhin jaega ek din ab bhi waqt hai dekh sambhal
narm ragon mein mithi mithi tis jo ye uthti hai aaj

badhti mauj ka rela hai ik, tis na uthegi kal
mast rasili aankhon se ye chhalki chhalki si ek shai

jis ne aaj apnaya is ko samjho us ke car saphal
main tere shoalon se khelun tu bhi meri aag se khel

main bhi teri nind churaun tu bhi meri ninden chhal
narm hawa ke jhonkon hi se khulti hai phulon ki aankh

warna barson sath rahe hain thahra pani band kanwal!
us ke baad:

bhigi raat ka nashsha tuta dub gaya hai chadhta chand
thake thake hain aaza sare aur huin palken bojhal

shabnam ka ras pi gain kirnen din ka rang chamak uttha
gunj hai bhanwron ki kanon mein par hain aankhon se ojhal

husn aur ishq ki is duniya mein kis ne kis ka sath diya
main apne raste jata hun aur tu apni dagar par chal!


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close