meri dastaras mein sitare bhi suraj bhi aur kahkashan bhi meri dastaras mein hawaen bhi tufan bhi bijliyan bhi meri dastaras mein samundar bhi sahra bhi kohsar bhi gulsitan bhi meri dastaras mein bahaaren bhi mausam bhi qaus-e-quzah bhi meri dastaras mein gulon ki mahak bhi hai kaliyon ki ranaiyan bhi meri dastaras mein nam-alud honton ki doshizgi bhi jawan marmarin jism ki tishnagi bhi meri dastaras mein tamannaon ke marhale bhi shab-e-wasl ke silsile bhi meri dastaras mein azaem bhi jurat bhi iqan bhi hausle bhi magar mujh sa mahrum bhi koi hoga har ek shai meri dastaras mein magar mere hathon mein jumbish ki taqat nahin hai agar wo na chahe yahi mere insan hone ka tarik pahlu hai shayad