ye sath sadi ka qissa hai ye sath baras ki baat nahin tarikh ne jab aankhen kholin sab pani tha phir pani par taswir bani taswir zamin par phail gai aur us par barish tut padi ek bij kahin par sath sadi ki aahat se bedar hua jangal ban kar phail gaya wahin kahin par main bhi tha tum bhi thin tarikh ne dastak di thi tarikh utri thi dharti par wo raat thi puran-mashi ki phir dharti hi tarikh bani tarikh koi bandar to nahin tarikh koi chehra to nahin tarikh to ek samundar hai jo puran-mashi ki raaton mein pagal ho kar phailta hai aur sab ko baha le jata hai tarikh koi khamosh zamana hota hai jo sadiyon tak mausam ki god mein sota hai phir karwat le kar jagta hai aisa mujh ko 'gautam-budh' ne gyan samay samjhaya tha aur ye to mujh se aakhiri aadmi ne pucha tha are miyan kis khunt chale ho thahro ye sath sadi ka qissa hai kuchh aur nahin hai aur mere andar to un sadiyon ki wo gunj basi hai jo agli kitni sadiyon tak puran-mashi ki raaton mein aawaz banegi ye sath sadi ka qissa hai kuchh aur nahin hai mere andar sath sadi ki gunj basi hai main aur tum is gunj mein gyan kinare aa kar baith gae the tarikh ne jab is dharti par bisram kiya jab qissa-go ki lori mein hum sote the aur chidiyon ki chahkar mein aankhen kholte the mausam ke mizaj mein rachi hui baaton mein amrit gholte the yahin kahin par hum tum 'mir' aur 'mira' ke dukh dil mein album karte the wo dukh tandur ki roti mein pak jate the meri aur tumhaari man wo roti apne dil ke tandur se lati thi phir bhuk hamari pahle se badh jati thi main aur tum tarikh ke bij se phutenge aur 'gautam-budh' ke jangal jaisi umr mein dhal jaenge