main ye chahti hun ki duniya ki aankhen mujhe dekhti jaen yun dekhti jaen jaise koi ped ki narm tahni ko dekhe lachakti hui narm tahni ko dekhe magar bojh patton ka utre hue pairahan ki tarah sach ke sath hi farsh par ek masla hua dher ban kar pada ho main ye chahti hun ki jhonke hawa ke lipatte chale jaen mujh se machalte hue chhed karte hue hanste hanste koi baat kahte hue laj ke bojh se rukte rukte sambhalte hue ras ki rangin sargoshiyon mein main ye chahti hun kabhi chalte chalte kabhi daudte daudte badhti jaun hawa jaise nadi ki lahron se chhute hue sarsaraate hue bahti jati hai rukti nahin hai agar koi panchhi suhani sada mein kahin git gae to aawaz ki garm lahren mere jism se aa ke takraen aur laut jaen thaharne na paen kabhi garm kirnen kabhi narm jhonke kabhi mithi mithi fusun-saz baaten kabhi kuchh kabhi kuchh nae se naya rang ubhre ubharte hi tahlil ho jae phaili faza mein koi chiz mere masarrat ke ghere mein rukne na pae masarrat ka ghera simatta chala ja raha hai khula khet gandum ka phaila hua hai bahut dur aakash ka shamiyana anokhi masahri banae rasile ishaaron se bahka raha hai thapedon se pani ki aawaz panchhi ke giton mein ghul kar phisalte hue ab nigahon se ojhal hui ja rahi hai main baithi hui hun dupatta mere sar se dhalka hua hai mujhe dhyan aata nahin hai mere gesuon ko koi dekh lega masarrat ka ghera simatta chala ja raha hai bas ab aur koi nai chiz mere masarrat ke ghere mein aane na pae