nari aur shudar ko saman samajhne wale maha-purush itihas ke pannon mein kho gae hain hont aaj bhi thartharaate hain lafz maile na ho jaen zamin thi to pathrili lekin apna kuan khoda to pani mitha nikla phunkarte aabhushan sanduqon mein band kar ke chabi buzurgon ke hawale kar di gai udte hue lafzon ko mutthiyon mein pakadte hi chand sharmane laga raushni ka sauda karne walon ne gahre gadhe khod kar kirnon ko dafnana chaha lekin wo zinda shiryanon mein lahu ban kar daud gain masamon se phutte ujalon ki yurish mein bah nikle jaane kitne 'mir' o 'sauda' kitne 'kalidas' ulti pothi pakde pakde jaane kab dhai akhshar sidhe dhai ulte padhe aur dariya mein dupki lagane se pahle saraswati ko kahte suna dushyant ki angushtari lahron ke hawale kar do machhliyan chughul-khor hoti hain 'bharat' ko apne andar thame raho ta-abad