zeyabetis ke mariz

wo marizan-e-zeyabetis jo aae hain yahan
un mein bachche bhi hain shamil aur budhe aur jawan

is zamane mein ki jab hai mulk mein har shai giran
ye banate hain shakar badhti hain jis se talkhiyan

khun ki nalyon mein cholestrol badh jae agar
phul ki patti se kat sakta hai hire ka jigar

khun mein in ke shakar hai shukr karte hain magar
ye dua dete hain 'insulin' ko sham o sahar

'carbohydrate' aa jate hain jis shai mein nazar
khane pine mein kiya karte hain ye us se hazar

ye jo mithe khun wale hain inhen malum hai
pencriatic juice mein se in ke kuchh madum hai

ye namak-khwaran-e-millat jab kahin pite hain chae
aagahi dam-e-shunidan jis qadar chahe bichhae

dalte hain ye sweetics is mein chini ki bajae
jis ko apni jaan piyari ho shakar kas tarah khae

ye hain wo farhad jo shirin se apni dur hain
hai zeyabetis wo badhiya jis se ye majbur hain

ye jo bachche hain zeyabetis ke gham mein mubtala
ya ilahi in ki gadi umar ki aise chala

in ke qabu aa ke dab jae maraz ki ye bala
bach rahega ehtiyaton mein agar rah kar pala

shart ye hai zindagi mein nazm ho aur inzibaat
ehtiyat aur ehtiyat aur ehtiyat aur ehtiyat

ho zeyabetis jise us ki dawa parhez hai
hai rafiq-e-zindagi ye dukh jo dard-amez hai

is ka phir wirse mein milna bhi tajjub-khez hai
khandani qism ka dukh hai hazar-angez hai

warna mitha khun agar rag mein rawan ho jaega
dosti nadan ki hai, ji ka ziyan ho jaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close