ab na phailaunga main dast-e-sawal main ne dekha hai ki majbur hai tu meri duniya se bahut dur hai tu teri qismat mein jahanbani hai meri taqdir mein hairani hai bazm-e-hasti mein sar-afraaz hai tu mere anjam ka aaghaz hai tu tu hai aasuda-e-farsh-e-sanjab khuld hai tere shabistan ka jawab masjid-e-shahr ki mehrab ka kham teri taqdis ki khata hai qasam main hun ek shaer-e-awara-mizaj aur tere farq pe akhlaq ka taj main ne aalam se baghawat ki hai tu ne har shai se mohabbat ki hai! main ne mazhab pe bhi ilzam dhara tu ne wahmon ko bhi iman samjha gil kahan aur khas-o-khashak kahan aalam-e-pak kahan khak kahan ab na phailaunga main dast-e-sawal