hum na sunenge ab ye kahani ek tha raja ek thi rani nai kahani mujhe sunao ammi hamara ji bahlao hum na sunenge sher ka qissa aa jata hai hum ko ghussa kyun khata hai hiran hamare nanhe se khargosh bichaare hum to sunenge qissa aisa ek ho ladka mera jaisa sher ko bhi jo mar bhagae raja ko khatir mein na lae par kare jo sat samundar sair kare aakash pe ja kar par kare wo sat samundar sair kare aakash pe ja kar tare us ke hon ham-joli chand se khele aankh-micholi baadal mein wo jhula jhule chand sitaron ko bhi chhu le ammi meri achchhi ammi kah do aaj kahani aisi