pa-ba-gul raat dhalegi na sahar aaegi koi suraj kisi mashriq se na niklega kabhi reza reza hue mahtab zamane guzre bujh gae wada-e-mauhum ke sare jugnu ab koi barq hi chamkegi na abr aaega chaar-su ghor andhera hai ghana jangal hai tu kahan jaegi phunkarte sannate mein sarhad-e-yaad-e-guzishta se pare kuchh bhi nahin dekh israr na kar man bhi le laut bhi ja main teri rah ka patthar sahi ye baat to sun aage khai hai agar rah ka patthar hat jae