meri kahani raste mein jaane kahan pe kho gai ji dil mein bahut sharminda hun bhul ye mujh se ho gai ji main jab apne ghar se chali sadak sadak aur gali gali kahin mithai rakkhi thi wahin badi si makkhi thi makkhi boli bhin bhin bhin jao na tum tw mujh bin nachungi aur gaungi apne hunar dikhlaungi main ne kaha kya gaogi bimari phailaogi makkhi ud gai jaldi se main bhi mud gai jaldi se mod pe chidiya baithi thi mera rasta takti thi kahne lagi wo chun chun chun main bhi tumhaare sath chalun nachungi aur gaungi apne hunar dikhlaungi pas hi chin chin hone lagi baby chidiya rone lagi main ne kaha is ko bahlao dal ka dana le ke jao ud gai kah ke jaun jaun billi boli myaun myaun nachungi aur gaungi apne hunar dikhlaungi main us se katrane lagi bas yunhi samjhane lagi chuhe agar sun paenge kaisa mazaq udaenge billi ko chuhe yaad aae us ne panje lahrae panje mein uljha ghubbara samne tha ek fawwara fawware ke pas wahan munnu ke bhai chunnu miyan god mein jo the aaya ki kya jaanen wo chaalaki aaj hamein bhi le ke chalo telewision station ko main ne un ko toffee di unhon ne mujh ko muafi di phir main aai aap ke pas nahin kahani mere pas meri kahani raste mein jaane kahan pe kho gai ji dil mein bahut sharminda hun bhul ye mujh se ho gai ji