tark-e-wada ki tark-e-khwab tha wo kaam sab ho chuka jo karna tha bhar chuka jam-e-shart-e-wasl jise subh tak, aansuon se bharna tha wo sukhan us ke muddaa mein nahin mujh ko jis baat se mukarna tha koi taqsim-e-kar-e-mahr-o-nujum ya hisab-e-shab-e-nuzul koi dasht-e-la-hasili ki mahdudat shahr-e-maharam ka arz o tul koi kuchh nahin darmiyan jaza na saza sang, dushnam, dagh, phul koi us taraf ab rukh-e-talluq hai jahan sud-o-ziyan-e-zat nahin dar nahin nind tut jaane ka pas-e-wada ki ehtiyat nahin mujh ko jis baat se mukarna tha us ke dawe mein ab wo baat nahin bhar chuka jam-e-shart-e-wasl jise subh tak, aansuon se bharna tha tark-e-wada ki tark-e-khwab tha wo kaam sab ho chuka jo karna tha