khunuk-mausam nahin guzra safar suraj kare to abr us ke sath chalta hai abhi naddi ke pani par hawa ke taziyane se nishan paida nahin hota tabar ki zarb-kari se, shakhon se zamin par patta patta harf girte hain koi fiqara shajar ke zakhm-e-mohmal ki pazirai nahin karta lahu mani nahin deta to phir qirtas-e-ahmar ho ki abyaz rang-e-pairahan se khushbu-e-sukhan nikle to ji bahle mahakta hai kahin sayyaad ke fitrak mein nafa mere mahbub ka wada isi tishna sitare ke taaqub mein sukhan apna falak mahtab o anjum ke safinon se bhara dariya ganwa baitha masafat satr se ta-satr kis suraj pe tai hogi koi tukda falak ka hath aae to rajaz likkhen dua ke baadban kholen kise kis ghat utarna hai? kaho un se jo agle morchon se sulh ka paigham dete hain muqabil lauh-e-mazmun-e-tasalli bhi hai lahn-e-khud-girafta bhi kise kis ghat utarna hai sarab-e-rang mein mahw-e-safar un aahuwan-e-nafa-e-gum-karda se, kuchh puchho kise kis ghat utarna hai