tarz-e-nau ki shaeri

tausan-e-tab-e-rasa ke panw mein kuchh lang hai
lekin is surat mein chup rahna bhi wajh-e-nang hai
sher ka saman hai kamyab daur-e-jang hai
shaeri bhi farz hai aur qafiya bhi tang hai
qafiye aur wazn ki bandish se ho kar talkh-kaam
ai samand-e-taba tujh ko kar raha hun be-lagam
nasr-e-nazm-alud hai ye tarz-e-nau ki shaeri
mash ki khichdi hai jo puri tarah pakki na ho
ya wo haji hai karachi tak jo ja kar laut aae
ghaaliban aadha hai titar aur aadha hai bater
kar diya sayyaad ne par qainch ud sakta nahin
main unhi sheron se paida kar raha hun inqalab
'hafiz' o 'khayyam' se kah do ki mahshar ho gaya
tundi-e-sahba se chaknachur saghar ho gaya
shaeri ki fikr hai circus ki beli dancer
tod kar bandish ko taqriban barahna ho gai
khirman-e-sher-o-adab par bijliyan girne lagin
aag is ghar ko lagi aisi ki jo tha jal gaya
is ko kahte hain ki ye hai blank-werse
werse ho jata hai jab bhi zehn ho bilkul blank
tarz-e-nau ki shaeri bhi sur-e-israfil hai
shaeri habil hai aur tarz-e-nau qabil hai
is ke andar zindagi ki qadr karte ho talash
aur liye phirta hai bhai dusre bhai ki lash
tarz-e-nau ki shaeri ho jae jab behad baligh
log kahte hain ki paida ho gaya adab-e-latif
tarz-e-nau ki shaeri ke dekhiye mauzua bhi
hurriyat niswaniyat ehsas muflis ka shabab
chandni raaten papiha, tu kahan sarmaya-dar
bourgeois qadren mahajan zindagi ke mod par
morcha makhmal mein dekha aadmi baadam mein
tuti dariya ki kalai zulf uljhi baam mein
tarz-e-nau ki shaeri mein madd-o-jazr-e-bahr-e-sher
uff ghazab
ek misra fil-e-be-zanjir ki zinda misal
dusra ushtar ki dum
dariya mein sher khak udata tha naw par
bismil do-zanu baitha tha pusht-e-bilaw par
nazm laut aai hai phir apni purani bahr mein
hai ajab tasir pinhan tarz-e-nau ke sehr mein
tarz-e-nau ki shaeri ki koi kal sidhi nahin
shahar bhar mein unt be-chaara abas bad-nam hai
tarz-e-nau ki shaeri ko unt se de kar misal
chahta hun unt se ja kar muafi mang lun
hath lekin us ki gardan tak pahunch sakte nahin
garche be-chaara hai lekin hai bada gardan-daraaz
aah unt!
This is a great karachi city shayari. True lovers of haji mastan shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore omar khayyam shayari. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close