ek hi bistar par lete hue kabhi-kabhaar do jismon ke darmiyan chand shiknon ka fasla sadiyon par phail jata hai us lamhe ke paikar mein baham paiwast do jismon se paida hone wala tisra badan sari umr firaq ki ghadiyan ginte ginte aakhir isi zanjire mein ek nai kadi ka izafa ban jata hai aur phir wahi amal phir wahi zanjira phir wahi kadi!