thahar jao inhin gati hui pur-nur rahon mein aur ek lamhe ko ye socho hare shital manohar kitne jangal aaj viran hai wo kaisi lahlahati khetiyan thin ab jo pinhan hain wo manzar kitne dilkash the jo ab yaad-e-gurezan hain bas ek lamhe ko ye socho na jaane kitni nashon ko kuchal kar aaj lae ho nai tahzib ki in jannaton mein jalwa-gahon mein suno insan hun aur roz-e-azal hi se meri takhliq aur tamir ke jalwe farozan hain main jab marta hun tab ek zindagi aabaad hoti hai