kis jata-dhaari show se sikha tha aur kab ab ye baat yaad nahin nag-widdya ka gan sanpon ko bas mein karne ka fan hamara tha nag-swami the zahr ko tiryaq mein badalne ka ilm rakhte the dar se niwdhae apne nag-phani sanp khud mangte the hum se panah nag-widdya ka sara gyan liye hum kamal-e-hunar ke malik the lekin ek din ajib baat hui ek wish-kanya pyar se aa kar yun gale lag gai ki sara gyan bas ko amrit mein zahr ko tiryaq main badalne ka ilm sab mantar bhul baithe ki us ke honton ka zahr aab-e-hayat tha aur hum lakh janmon ki pyas rakhte the