bazm-e-khwahish ke nau-warido tum nahin jaante kaise aahista aahista jismon ke andar ragon tak pahunchte hain patjhad ke hath kaise sarma ki sham dhanp leti hai kohre ki chadar mein manzar tamam kaise guzri hui zindagi dastaken deti rahti hai dil par magar jab pukaren to ram-khurda ruya ke manind duri ki sarhad ke is par aati nahin kaise bichhde hue doston ka khayal dhundli aankhon mein rahta hai roke hue aansuon ki misal tum jahan ho wahan phul-rut hai abhi reshmi khushbuon mein basi chahatin hain wahan aur raushan hain aankhon mein duniya badalne ke khwab tum hamare shab o roz ke aaine ho wo chehre tumhaare khad-o-khal se jhankte hain jo muddat hui hum se ek ek kar ke juda ho gae zamana hua sar-zamin-e-tamanna pe fasl-e-gul aane ko thi hum dam-e-subh kaliyan chatakne ki aawaz ke muntazir the ki ek sarsarahat hui zer-e-shakh-e-gul-afi ka saya sa ubhra tum ai tairan-e-na-khurda-gazand is se waqif nahin kaise zakhmon se behaal thi zindagi kaise aatish-fishan phat pade kis tarah un ke lawe hain insaniyat bah gai wo jo rukhsat hue jo andheron mein haq ke alam le ke nikle the zindan se un ke salasil ki aawaz to hum tak aai thi lekin palat kar wo aae nahin hum kahan se kahan aa gae hain magar ab bhi dastur-e-duniya wahi hai ki tha jang ka jhut ka jabr ka jaur ka ab bhi aalam mein charcha wahi hai ki tha ai jahan ko badalne ke khwahan jawano suno waqt ke chaak par gili mitti ke manind hai aadmi hum badalte hain duniya badalti nahin hum badalte hain lekin ye duniya jo har-dam nai hai badalti nahin hum ki apni shikaston ki aawaz hain apne khwabon pe nadim nahin is se pahle ki chup-chap aa le tumhein waqt ka rahzan jo tumhaare lahu mein tumhaare tanaffus mein ru-posh hai donon hathon se apni mahakti hui chahaten tham lo dil ki daulat ko ek dusre par nichhawar karo aur aankhon mein khwabon ko raushan rakho