ek shakh se patta tut gira aur tu ne thandi aah bhari ek shakh pe khilta shagufa tha tu us se bhi bezar si thi tu apne khayal ke kohre mein lipti hui gum-sum baithi thi tu pas thi aur main tanha tha mere dil mein tera gham tha tere dil mein jaane kis ka hum donon pas the aur itne anjaan hawa ka har jhonka ek sath hi hum se kahta tha ai rah-e-ishq ke gumraho tum donon kitne tanha ho lekin ye use malum na tha hum ek the ek the hum donon hum ek hi dukh ke mare the donon ke dhadakte sinon mein sirf ek hi dard sulagta tha lekin ye use malum na tha kahta raha wo to yahi hum se ai rah-e-ishq ke gumraho tum donon kitne tanha ho