kab se ye bar-e-garan apne kandhon pe uthae hue tanha tanha gasht karta hun main hairan hairan main ne har-chand chhudana chaha aur mazbut hui us ki gulu-gir giraft aur sangin hua jism-e-jawan par pahra samne fasla-e-lamatanahi dil mein saikadon man chale armanon ke rangin charagh jin ki khushbu se moattar hai dimagh jin se mumkin hai ki mil jae mujhe gum-shuda jannat ka suragh kab se kandhon pe uthae hue hairan hairan waqt ka bar-e-garan sochta hun ki agar is ke pairon ke shikanje se nikal paun main be-karan arsa-e-hasti mein bikhar jaun main