ai ki dil tera hai fikr-e-baada-e-gulfam mein zahr bhi hota hai aksar khubsurat jam mein ai ki sine mein tere arman-e-gul hai be-qarar dekhna bedad-e-nok-e-khar se bhi hoshiyar is sukut-e-arzi par khush na ho jaana kahin tu ne madd-o-jazr maujon ka abhi dekha nahin kar na de khira teri nazron ko tazin-e-ghilaf han isi parde mein hai ek tegha-e-khara-shigaf bais-e-dil-bastagi alfaz ka jadu na ho dekh lafzon mein nihan dam ka koi pahlu na ho hai teri tishna-labi ko aarzu-e-ju-e-ab justuju teri na ho warafta-e-dasht-e-sarab hai nazar-afroz agarche jalwa-e-barq-e-tapan khirman-e-dahqan se lekin puchh us ki dastan aag se bach kaam mein la quwwat-e-tamiz ko kah nahin sakte hain sona har chamakti chiz ko shoala-e-be-bak bhi hai matla-e-anwar bhi shama ki fitrat mein ghafil nur bhi hai nar bhi khubi-e-aghaz hi par dil na ho jae nihan talkhi-e-anjam ka bhi dil mein kar leta khayal pi na jaana baada-e-ishrat ka jam-e-khush-gawar hai bahut taklif-dah aaza-shikan is ka khumar zahiri haalat pe hargiz kar na baatin ka qayas khubi-e-tan par dalalat kar nahin sakta libas hai dil-e-sada tera warafta-e-husn-e-hijab zisht-rui ka kahin parda na ho rangin naqab ho na jae mo'taqid dil zahiri tanwir ka dekh lena dusra rukh bhi zara taswir ka