kishwar-e-maghrib alam-bardar-e-tahzib-e-jadid aa dikha dun main tujhe anwar-e-tahzib-e-jadid tu samajhta hai jise apni taraqqi ka kamal khatm hoti hai yahin par aakhiri hadd-e-zawal tu ne ai ghafil samajh rakha hai jis ko baam-e-auj hai ye tufan-e-halakat-afrin ki ek mauj tu taraqqi kah raha hai jis ko duniya ke ghulam hai ye teri pasti-e-akhlaq ka ek aur nam main ne mana hai anasir par hukumat teri aaj teri haibat le rahi hai baadshahon se khiraj raushni science ki go tere aiwanon mein hai nur-e-imani bhi lekin dil ke kashanon mein hai aql ki shamon se go raushan hain fanus-e-dimagh dil ki zulmat mein jalaya bhi kabhi tu ne charagh shaukat-e-kisra o shan-e-jam to darbaron mein hai jins-e-nayab-e-wafa bhi tere bazaron mein hai aks-e-isar-o-sadaqat bhi rukh-e-raushan mein hai mehr-o-ulfat ka bhi koi phul is gulshan mein hai saz-o-saman-e-tarab sab kuchh teri mahfil mein hai dard-e-insani ka bhi jalwa kisi ke dil mein hai maddiyat ke nashe se mast hai tera ghurur kya magar dil ko tere hasil hai ruhani surur ye nahin to fakhr is tahzib par be-kar hai nang-e-insan ye tamaddun maujib-e-sad-ar hai