taswiren

yak-rang mein saikadon rang hote hain
halke, gahre, maddham shaffaf

raushniyon se bhare, chamakte, jagmagate
surmai abreshmi naqaben dale

ghule mile
dhup chhanw ki aankh-micholi khelte

anokhe nuqush mein ubhre udte hue
ya phir itne gambhir

jaise jahazon ke langar
in mein lahren hoti hain

tadapti bechain tufani
aur aisi bhi

jin par sukun ke sae
chhae hue hote hain

lekin un ke niche
pahadi jharnon ki tezi, tilmilahat

justuju ki lahak
aarzu ki pagal mahak

chhupi hoti hai
aur jab kai rang

un ki be-shumar tarangen
tarah tarah ki chhoti badi

chhupi aur zahir lahren
milti ek dusre se takraati hain

tab nae hairat-nak hayule
aadhe pure bal khate daere

mauhum lakiren
la-jawab shaklen

aur aise paikar jo kisi dusri chiz ki tarah nahin hote
lekin jo khud apni alag anup hasti mein

nai-naweli dulhan
nau-zaida bachche ki tarah

achchhe lagte hain
wajud mein aa jate hain

jhilmilate dhabbon ka ye shoala
insani ungliyon zehn aur ruh ka ye karishma

zaban ka ye jauhri dhamaka
zindagi ko par laga deta hai

use itna uncha uda le jata hai
jahan se is dharti

aur is par basne walon ko
hum yun dekhte hain

jaise titof ne use dekha tha
aur us ki sab achchhaiyon

khubsurtiyon
is ki khushbuon

latafaton ranginiyon ka partaw
hamari ruhon par bhi padta hai

hum badal jate hain
aisa hi ek chhitr

tum ko malum nahin
kin aasmani rangon se khincha

apsaraon ki na jaane kaisi jadu mudraon se bhara
sowarg ke kaun se madhur ragon mein dhaala

aur chupke se
man ke garm tapte aangan mein rakh diya

dafatan hazaron bahaaren jag padin
gulabi pankhudiyan barasne lagin

mahakti hawaon se
halki halki thandi narmiyan tapak padin

aur zindagi ki khali mang
sindoor se bhar gai!


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close