ye chhalakta hua jam main ise pi na sakunga saqi aazmai hui shai zaiqa talkh asar phika hai chand lamhon ka surur jaise ek mah-jabin doshiza muskuraati hui tezi se guzar jati hai chand lamhon ka surur tishnagi saghar mai se bhi kahin jati hai tod de jam-o-subu tishnagi nam hai jine ka mujhe jine de tishnagi roz-e-azal se hai rafiq-e-dil-o-jaan tishnagi wajh-e-talab zauq-e-talab husn-e-talab tishnagi par hai zamane ka madar raaten jo aankhon hi aankhon mein basar hoti hain raaten jo pichhle pahar ashkon se munh dhoti hain subh hoti hai to pi jata hai suraj un ko raat dhal jati hai shabnam ke hasin qatron mein subh-dam phulon ke lakhon saghar muntazir hote hain suraj ke liye ye subuhi ki jise pi ke damak uthta hai ru-e-khurshid-e-jahan-tab shuaen jis ki naginen ban ke har ek bund ko pi jati hain bund aansu ki ho ya shabnam ki kurra-e-arz pe baqi nahin rahne pati khushk ho jate hain sab gul-e-tar dida-e-tar koi khurshid ki saffak tapish pi jae raat ke chand ka aalam dekho chand ek ghunt mein pi jata hai suraj ki tapish shabnam-o-ashk dua karte hain ki zamane mein sahar ho na kabhi aur ye silsila-e-tishna-labi ai khuda dahr mein jari hai na jaane kab se kaise manun lab-e-lalin ke hazaron bose ruh ki pyas bujha sakte hain ishq sairab nahin ho sakta ye chhalakta hua jam main ise pi na sakunga saqi