uf wo rawi ka kinara wo ghata chhai hui sham ke daman mein sabze par bahaar aai hui wo shafaq ke baadalon mein nil-gun surkhi ka rang aur rawi ki talai nuqrai lahron mein jang shah-dare mein aam ke pedon pe koyal ki pukar daliyon par sabz patton surkh phulon ka nikhaar wo gulabi aks mein dubi hui chashm-e-hubab aur nashe mein mast wo sarmast maujon ke raubab wo hawa ke sard jhonke shokhiyan karte hue bin pie ba-mast kar dene ka dam bharte hue dur se zalim papihe ki sada aati hui pai-ba-pai kam-bakht pi-pi kah kar uksati hui aur wo main thandi thandi ret par baitha hua donon hathon se kaleja tham kar baitha hua shaikh-sahib! sach to ye hai un dinon pita tha main un dinon pita tha yani jin dinon jita tha mein ab wo aalam hi kahan hai mai piye muddat hui ab main tauba kya karun tauba kiye muddat hui