imarat aur shaukat aur sarmae ki taswiren ye aiwanat sab hain haal hi ki taza tamiren idhar kuchh fasle par chand ghar the kasht-karon ke jahan ab kar-khane ban gae sarmaya-daron ke maweshi ho gae nilam kyun ye koi kya jaane kachehri jaane sahukar jaane ya khuda jaane zamin-daron ko ja kar dekh le jo bhi koi chahe nae bhatton mein inten thapte phirte hain halwahe yahan apne purane ganw ka ab kya raha baqi yahi takiya yahi ek main yahi ek jhonpada baqi azimushshan basti hai ye nau-abaad virana yahan hum ajnabi donon hain main aur mera kashana