us ne kaha tha: bol rahat ke aur panchhi ke sab alfaz sadaen sari jo tahlil huin nile gumbad mein jo tahrir huin lamhon par jo mahsub huin sanson se nil gagan mein subh-e-azal se tair rahi hain aaj bhi un ko sun sakte hain, padh sakte hain us ne kaha tha: shabd amar hai