hamein sab pata hai ki hum dhartiyon ke nirale fusun se azal se shanasa hain aur nil-gun aasmanon ka nashsha bhi hum ne chakha hai unhen gham yahi hai ki un ke saron par koi aasman hai na panw ke niche zamin hai faqat ek kharida hua karb-e-qismat hai un ki hamein sab pata hai unhen lautna hai pasheman ho kar safar ke dukhon se pareshan ho kar ki dharti ka aur aasmanon ka rishta azal se purana hai aur ek hi sut mein hum piroe hue hain