tawaif

aakhir log tawaif se itni nafrat kyon karte hain
aaj ke daur mein aksar insan

aise kirdar ke hamil hain
jis mein ek tawaif pinhan hai

farq sirf itna hai
wo kothe ke upar hai

ye kothe ke niche hai
shayad tumhein malum nahin

aalishan mahlon mein
bin mausam ke gul khilte hain

ghar ke band dar-o-diwar mein
ghane sunahre khwabon ke

sej yunhi saja karte hain
ghar daftar bazar mohalla

kisi na kisi gharaz ki khatir
khushi khushi ya majburi mein

izzat roz bika karti hai
dhande roz hua karte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close