gham tumhaara tha zindagi goya tum ko khoya use nahin khoya fart-e-girya se ji na halka ho bas yahi soch kar nahin roya ashk to ashk hain sharab se bhi main ne ye dagh-e-dil nahin dhoya main wo kisht-e-nashat kyon katun jis ko main ne kabhi nahin boya aabla aabla thi jaan phir bhi bar-e-hasti ko umr bhar dhoya dida-o-dil gawah hain jaanan sukh se jaga na chain se soya dusra koi sath ho ki na ho tum mere pas hote ho goya