meri yaadon mein se ek yaad mujhe ta-dam-e-marg nahin bhulegi meri is yaad ka rauzan daricha hai jis mein se mujhe kitne guzre hue pal saf nazar aate hain kachchi mitti ko jo takhti pe chalaun to ye dharti jaise apni khushbu mein mujhe nahlae raushnai mein qalam ko jo dubo dun to mujhe roz-e-azal yaad aae lafz likhun sar-e-qirtas to phulon ki qataren lag jaen harf ke daere sayyare se bante jaen aur nuqte wo chamakte hue tare jo kabhi taire hain aur kabhi dubte hain mere mazi ka ye rauzan mujhe dikhlata hai har su ghunche wo jo takhliq ke mausam mein chatakhte hain to har rang ke dildar mafahim ke ambar se lag jate hain mere mazi ka ye wo rauzan hai jis mein jhankun to wahan jhutpute aur shafaq aur tilismi si uluhi si khamoshi ki faza tari hai aur ek samt andhere mein damakte hue chehron ki nadi jari hai ye wo manzar hai ki jo ilm-o-mantiq ke sahifon se kai lakh guna bhaari hai