haar ki jit ki rit hai zindagi zindagi madd-o-jazr-e-hikayat hai gah koi zarar gah koi ziyan gah bohtan hai gah saughat hai zindagi madd-o-jazr-e-hikayat hai zindagi tujh se main pyar karta raha ek mahbuba-e-do-jahan ki tarah mah-rukhan ki tarah jaan-e-jaan ki tarah dekh ai zindagi yan bahut ham-nazar yan bahut ham-safar tere maddah hain chahe dar-o-rasan ho ki dil-dariyan tere naqsh-e-qadam mit na paen kabhi