taj-mahal

khayal-e-husn-o-mohabbat lihaz-e-ahd-e-wafa
dil-o-nazar ko jagae ki jaise sehr kiya

khabar nahin ki kahan thahre zindagi ki ada
abhi to ek hi wahdat hai ishq ki be-kal

ye taj hai ki mohabbat ki yaadgar koi
ki ek tute hue dil ka hai qarar koi

kare to meri tarah tujh se kash pyar koi
jalae jate hain yun bhi to zindagi ke kanwal

zamin pe aaya hua nur ka ye ek tukda
ba-shakl-e-taj hai goya ek aarzu ki faza

ye naqsh-e-sabz-o-siyah surkh marmarin aaza
pahan ke baithe koi jaise dudhiya malmal

pukarta hai ye shahkar mujh ko dad to do
mere jamal ke kasrat ki tab hai kis ko

meri nazar ki ye taqdis-e-arsh-o-farsh na ho
main ek husn-e-nazar hun main ek husn-e-azal

koi ho dur kisi se ki koi pahlu-nashin
magar khayal-o-guman ki hudud bhi to nahin

fana hai aakhirash har kar-e-asman-o-zamin
to phir hamesha rahega ye kaise taj-mahal


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close