nibu pahadi ke daman mein ek ganw hai 'madraban' jahan mein paida hua tha (mera nam mohamad-faruq hai) meri man seb ki tarah surkh aur mithi thi gulab ki tarah komal aur moattar wo khushbu ka aakar thi lagi lipti chhal-kapat jhut ye lafz us ne sune to the aazmae nahin the dohrae nahin the radio se nizar-qabani ka qasida-e-mutawahashshiya nashr hota hai ya koi mughanni kalidas ka ritu-samhaar sunata to wo phut phut kar roti main puchhta rone ka karan to kahti dewtaon ki in zabanon mein jadu ka asar hai in mein saty ki disha aur siraat-al-mustaqim ki nishan-dahi hai main bar-ha us ki sadgi par ro deta mera bap danton mein dynamite dabae ungliyon ke poron mein tezab ke ban ugata hai aur pile murda mariyal kaghaz ke chehre par lahu ke phul kadhta hai khud se alag ho kar khud par mit kar apni jaedad se pyar karne lagta hai wo aath jahazon ka malik hai jo us ne waqt ke samundar ke paniyon par utar diye hain aur khud ek control-room mein baith kar un ki harkat ka tayyun karta hai main bhi us ka ek jahaz hun patthar chabana, palkon ki jhadiyon par sidra ugana subh-sawere masjid ke darwaze par khuda se aankhen chura kar guzar jaana aur khuda ke mahbub par farefta ho kar khuda se raqabat bant lena us ki ada ban gaya hai main surkh mithe seb aur tezab ke isi imtizaj ki paida-war hun main kaun hun