larazte badan rang kohre mein lipte hue adh-mari raushni ka kafan odh kar maut ki sar-zamin mein ujalon pe qurban hone se pahle bahut der tak apne ehsas ki aanch sahte rahe sham nim tarik rahon pe matha ragadti rahi kanpti thartharaati shab-e-gham ke sanche mein dhalne se pahle bahut der tak sard fanus ke pas thahri rahi chand aakash ke gahre nile samundar mein taron ki indar-sabha se bahut der tak maut ki sarzamin par ujalon ki gul-poshiyan kar raha tha lahad-ta-lahad koi saya na khaka qadam-ta-qadam manzilon ke nishan gum makinon se khali makanon ke dar takhtiyan rahne walon ke namon ki le kar bahut der tak muntazir the magar koi dastak na aahat idhar be-zaban shahr ki tirgi mein larazte badan kaif-o-kam ke badalte hue zawiyon mein ulajhte chhalakte bikharte simatte rahe aur kohre mein lipte hue shakh-dar-shakh raushni se guzar kar salibon ke sae mein dam le rahe hain