aah ruh bojhal bojhal kahan pe hath se kuchh chhut gaya yaad nahin na jaane kis ke chikhne ki ye aawaz aai aur ehsas daradon mein kaise ja pahuncha nagar viran jharoke khamosh munderen chup khamoshi uf ki khalaon ka dam bhi ghutne laga achanak aa gai ho maut waqt ko jaise hae raftar ki nabzen ruken dil baith gaya kahan shurua hue ye silsile kahan tute na is sire ka pata hai na wo sira malum